Mai nok e sina
jab khatima ba qair huwa fauje shah ka
kausar pe qaafila gaya pyasi sipaah ka
ghar luta gaya janab-e-risalat panaah ka
khaak ud rahi thi haal ka ye bargaah ka
haye maqtal may aayi fatima zehra ba-rehna sar
chillayi zere taygh hai baba mera jigar
unees sau hei zakhm tan-e-chak chak par
zainab nikal hussain tadapta hai khaak par
haye pahunchi behan jo bhai ke maqtal may nawhaghar
sekha sar-e-hussain hai naize ki nok par
sadqe gayi luta gaye ghar wada-gaah may
haye jumbish labon ko hai abhi zikre ilaah may
mera wada huwa pura nana
mai noke sina par hoo
mera wada huwa pura nana
nana dekho nawasa kahan aagaya
maine karbobala ko muallah kiya
khoon mera aaj khaak-e-shifa ban gaya
maine bachpan ka wada wafa kar diya
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
mera ghar mere bache meri zindagi
aap ke deen pe sab maine qurban ki
mere maathe pe wo tha do ab aakhri
bar sare noke naiza sawari chali
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
deeno quran bache tera kaaba bacha
ta qayamat rahegi azan ki sada
madressa ban gayi aaj se karbala
haye nana magar mera ghar na raha
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
chakkiyan peesne wali maa ki qasam
meri aaghosh may toda akbar ne dam
kaise laashe jawan laaya suye haram
apne wade pe sehta raha gham pe gham
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
kitne laashe uthaaye hai ek roz may
kitne aansu bahaye hai ek roz may
saikdo teer khaye hai ek roz may
saare waade nibhaye hai ek roz may
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
bhai bat-tees barson se jo saath tha
maine wada nibhaane may wo khodiya
khagayi uske shano ko ye alqama
wo gaya aur darde kamar degaya
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
mere nana ye dulha ye kamsin jawan
aise raunda gaya dasht may al amaan
apne bete ko pehchan paayi na maa
uski dulhan ne khud tod-di churiyan
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
han wo asghar jo sughra ki thi zindagi
jis ki khaatir wo bemaar bachi meri
chote chote se kurte jo seeti rahi
uska khoon apne chehre pe malke abhi
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
mere nana sakina ka gham dekhiye
umr itni si itne sitam dekhiye
jalti reti pe uske qadam dekhiye
kitne majboor hai aaj hum dekhiye
mera wada huwa pura
mai noke sina par....
shaam rehan o sarwar jo dhalne lagi
sar se shabbir ke ye sada aati thi
ay behen ab yahan se qayadat teri
mere waade ki khaatir zuroori huwi
mera wada huwa pura
mai noke sina par....